Estee Lauder Kitna kamaati hai? Etsee Lauder Business Model

Kya Aap Cosmetics Industry ki Sabse Badi Company ko Jante hai. Estee Lauder, Jo International Level Par Cosmetics Products ko Manufacture aur Sell Karti hai. Jiska Yearly Revenue Lagbag 15.2 Billion Dollar hai. Company 150 se Adhik Country me 48000 Employs ke sath kaam kar rahi hai. 

Company ki Founder Estee Lauder hai, Jo ki United States ki Most influenced lady  me se ek thi. Ye ek aesi Company Jo ki har tarah ke Cosmetics Products ki Manufacture Karti hai. 

Estee Lauder ne Kabhi Fund nahi Ikattha kiya. Ise Public Company Banaye Rakhne ke lia Kevel IPO Launch kiya. Company ke paas 25 se Adhik Brand ka Portfolio hai. Jiski wajah se  Estee Lauder Market me ek Nayi Pehchaan Bana Payi hai.

Aaj hum Jaanenge.

1. Estee Lauder Kya Karti hai ?

Estee Lauder ek International Company hai. Jo ki beauty Products ko Manufacture aur Sell karti hai. Estee Lauder Company ke Founder Estee lauder aur Unke Husband Joseph Lauder hai . Jinhone Is Company ko 1946 me New York City me Shuru kiya tha.Company ko Ligilly Taur par 9 December 1976 ko Registered Kiya gaya. Abhi ke samay ye Company Skincare Products,Hair products Aur Beauty Products ko Manufacture Karti  hai.

Estee Lauder ke paas 25 se Adhik Brand ka Portfolio hai. Jismen AVEDA,BECCA,DKNY aur GlamGlow Jaise Bahut Saare Brand Saamil hai. Estee Lauder 150 se Adhik Desho me Lagbhag 48000 se Adhik Employee ke sath Kaam kar rahi hai. Estee Lauder Abhi tak Lagbhag 14.82 Billion Dollar ki Sell kar Chuki hai. Iske Skin care Products Skin ke Bahut saari Jarurto ko Pura Karti hai.Jaise-Moisturizers,serums,cleansers,toners aur Body care etc.

2. Estee Lauder Company Kaise shuru hui ?

Estee Lauder Company ki Shuruaat Estee Lauder aur unke Husband Joseph lauder ne New York City me ki thi.  Unhone Cosmatics Products ka Manufacture karna Shuru kiya. Apne Shuruaati dino me Dono ne Company me Apne Talent ke Anusar Apne-Apne Department ko Banth liya. Dono Apne-Apne Department ko Achchi Tarah Sambhala Karte the. Ye Apne Business ko Bada karne ke lia Lagaatar Kaam kar rahe the. 1960 mein, Unhone Apna pehla Store Landon me Khola.

Estee Lauder ne Apne do Brands Aramis aur Clinique ko Launch kiya . Jo ki Aage chal kar Cosmetics History me sabse Successful Brand ban gayi.1968 mein, Estee Lauder Business me 10 Rich Business woman ki list me aati hai. Jiske bad wo Apni Company ko aur Adhik Success ki Aaor le Jaati hai. us Samay Company Apne Business ko Expand karne  ke lia Lagaatar Naye Products Launch Kar rahi thi.

1980 ke samay Estee Lauder ko beauty business me Sabse Tallented lady ke Rup me Dekha Jane laga. November 1955 mein Company ne apna Pehla  IPO Launch kiya. Baad mein 2000 mein, Estee Lauder ne Company ka Leadership William Lauder ke hath me de diya. Company ne Lagaataar naye Products ko Launch kiya. Jiski Wajah se Company Pehli baar 10 Billion Dollar ka Sell kar payi. 

3. Estee Lauder ka Business Model kya hai ?

Estee Lauder ka Business Model kaphi Simple hai. Ye Cosmatics Products ko Manufacture Karne wali Company hai. Jo ki Cosmatics Product ko Manufacture karti hai aur use Sell karti hai. Estee Lauder apne Products ko Retailes ko Bechti hai. Company ke paas apna Store bhi hai. Jahan ye Apne Products ko Direct Customer ko Sell karti hai. Company ka apna ek E-commerce Store bhi hai. Jahan ye apne Products ko Sell karti hai. Is Tarah Company apne Products ko Bech kat Profit Kamaati hai. 

4. Estee Lauder ki Management Team.

Estee Lauder Company ki Shuruaat Estee Lauder aur unke Husband Joseph Lauder ne ki thi. Estee Lauder ek American Beautician aur Business women thi. Jinhone Is Company ko Start kiya tha. Ve America ki 10 sabse Influential Lady me se ek thi. 

Estee Lauder ki Management Team.

President & SEO Fabrizio  Freda
Chief Technology OfficerRhonda Vetree
Melissa Chu Director
Board MemberWilliam P. Lauder
Board Member Barry Strenlicht
Websitewww.elcompanies.com/
FacebookView on Facebook
LinkedinView on LinkedIn
TwitterView on Twitter

6. Estee Lauder Company ke Baare mein facts

Categories Consumer Goods, Cosmetics, Fashion, Health Care
Founded Date 1946
HeadquarterGreater New York Area, East Coast, Northeastern US
Operating Status Active
Funding Status IPO
No. of Employees 10001+
Company TypeFor Profit

7. Estee Lauder ka SWOT Analysis.

SWOT Analysis Ek Tarah ka Analysis hai. Jiske help se hum koi bhi Busniess  ka Strenght ,Weakness ,Opportunity aur Threats ka Analyse kar sakte hai.

Estee Lauder ka SWOT Analysis.

Strength

  • Estee Lauder ko Handle karne ke lia ek Badi aur achchi Team hai.
  • Company ke paas E-Commerce ki Badi site hai.
  • Company ke paas ek Strong Distribution Channel hai.
  • Company apne Shuruaati dino se hi ek Strong Position par hai.
  • Company ke paas kaphi Asset hai.Jo ki Company ko Stable Rakhne me Madad karti  hai.

Weakness

  • Company apne Research aur Development par kaphi Kharch karti hai. Jiski Wajah se Company Sabse Alag aur Quality Product Banaa pati hai.
  • Company ne bahut saari Outlates Raint per lia hai.Jiski Wajah se Company ko Kaphi kharch Uthana padh raha hai.
  • Company ke Paas Apne Industries ki Tulna me Kaphi Adhik Employ hai.
  • Company apne Product Quality par Kaphi Kam Kharch Karti hai.

Opportunities(Avsar)

  • Company ke paas Internet par Shandaar Pehchan banane ki Opportunities hai.
  • E-Commerce Industry Kaphi teegi se Grow kar Rahi hai. Jo Company ke Sell ko Badha Sakti hai.
  • Social Media koi bhi Business ko Market Karne ka ek  Achcha Platform hai.Estee Lauder ne Social Media ko apne Business ko Market karne ke lia Kaphi Achche Dhang se Use kar rahi hai.
  • Technology ke Development ne Product ke Manufactring Cost ko Kaphi Kam kar diya hai.

Threats(Khatra)

  • Cosmetics Industry me Kaphi Competition hai.
  • Lagaatar Technology development ke karan Employ ko Educate karna Padhta hai.Jo ki Manufacturing Cost ko Badhata hai.
  • Company chemicals ka use Kaphi Adhik karti hai.Jiski Wajah se Iske Cosmetics Products me Chemical Paya gaya hai.

8. Estee Lauder ne Funding kaise Ikattha kiya ?

Estee Lauder ne 16 Nov 1995 ko New York Stock Exchange me Apna Pehla Share Launch kiya. Us samay Company ke Share ke ek Share ka price 26.50 dollar tha. Jo ki Abhi 218.49 Dollar  par trade kar rahi hai. Company ne IPO se Lagbhag 450 Million Dollar Ikattha kiya.

9. Estee Lauder ne khan-khan Invest kiya hai ?

Company  ne Lead Investor ke Taur par 15 June 2017 ko DECIEM me Invest kiya. Jiska Amount Company ne Disclose nahi kiya. DECIEM ek Canada ki Company hai . Jo ki  Beauty Products ko Manufacture karti hai. DECIEM Skin care Treatment ke Product ko Banaati hai. Jaise  cleaning conditioners,hair growth serums aur body anti aging products Jaise Products Banaati hai.

10. Estee Lauder ne Kaun-Kaun si Company ko khareeda ?

Estee Lauder ne 8 Comapny ko Khareeda hai. Abhi Haal me hi Estee Lauder ne Have & BE Co Ltd ko 1.7 Billion Dollar me Khareeda hai. Company ne Bahut saari Famous Company Jaise Too Faced Cosmetics,BECCA,Le Lebo Aur Smashbox Cosmetics Jaise Company ko Khareeda hai.

Acquiree NameDatePrice
Have & Be Co Ltd24Nov,2019$1.7 B
Too Faced Cosmetics14No,2016$1.5 B
BECCA21Oct,2016
Le Labo15Oct ,2014
Smashbox Cosmetics 17May ,2010
Origins 9Jul2007
Laboratoires Darphin Sas30 Apr,2003
Sassaby1Oct,1997

11. Estee Lauder ka Competitor Kaun-Kaun hai?

Har Industry ke Tarah Cosmetics Industry me bhi Kaphi Competition hai. Estee Lauder ka Competitor Coty,Avon Products Aur Beiersdorf hai . Coty Cosmetics Products ko Manufacture karti hai Aur Uski Market Karti hai. Jo ki Khas kar Estee Lauder ke sath Compete kar rahi hai.  Avon ,Estee Lauder ke Main Competitor me se ek hai. Jo ki Beauty Products ko Manufacture Karti hai aur Uski Market Karti hai. Beiersdorf, Estee Lauder ke main Competitor me se ek hai. Jo ki personal care products ko Manufacture Karti Hai Aur Uski Market Karti hai.

12. Estee Lauder Marketing kaise karti hai ?

Koi bhi industry ho bina apni marketing (prachaar) kiye apne products ya services nahi de sakti. Is liye har har industry ke liye marketing karna zaroori hai. 

Estee Lauder aapne products ki marketing karne ke liye bahut si method ka use karti hai. Jis se wo apne products ko pure world mein bech sake aur ek achcha sa revenue kama sake.

Estee Lauder apne products aur cosmetics ki marketing karne ke liye alag – alag prakar ke methods ka use karta hai jinmein – T.V. advertising, Newspaper, Magazines, Digital marketing aur bhi bahut saare tarike use karte hai.

Digital Marketing

TV advertising, Newspaper ye sabhi ab purane tarike ho chuke hai marketing ke, digital marketing ek bahut accha aur effortless tarika hai apne products ko market karne ka. 

Estee Lauder ki apni khud ki website hai jise e-commerce site kehte hain. Yahan wo apne products ko online sell karti hai aur customer unke products ko buy karte hai. Apne naye customer apne har product ke first oder par 15% tak ka discount deti hai.

Social media aur social media ads se bhi Estee Lauder apni aur apne products ki marketing karti hai. 

Product Camping

Estee Lauder apni ek bahut acchi ‘Gift-With-Purchase’ aur ‘Purchase-With-Purchase’ technique ka istemal karti hai jismein wo apne regular aur loyal customer ko apne EL products ko karidne ke liye gift aur prices deti hai. Iisse customers Estee Lauder ke products ki taraf attract hote hain.

For example- Estee Lauder apne product dimension skincare kharidne ke sath 5 din ki free advanced night repair ki supply ki suvidha deti hai. Ye campaign 9 August 2015 se chalu hui thi.

Humari company Lapaas ek best digital marketing company hai. Hum apne har clients ke products ki digital marketing karte hai jisse wo ek accha revenue produce karte hain.

FAQs

Why Estee Lauder is a success?

Estee wanted to find a way for women to buy their own perfume and cosmetics, so she started making beauty products in 1953.

Who owns Estee Lauder?

Estee Lauder started her company, she owned her company first and now Jane Lauder became president of Estee Lauder.

Where is Estee Lauder headquarters?

Main headquarters of Estee Lauder is in New York, United States.

What Estee Lauder owns?

Estee Lauder owns more than 32 brands and companies, include BECCA, DENY and others.

Which types of products Estee  Lauder produce?

Estee Lauder produce all types of cosmetics like as – Perfumes, Skin care products and others.

lapaasindia

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked*

Recent Posts

Guide on Information Overload and How to overcome it?

In simple words, Over-burdening your brain with the information about the topic for which you’re…

4 years ago

Powers of Observation: 8 Analyzed Ways to Develop it

Summary Observing closely is the action of analysing things in detail. More people have the…

4 years ago

Ultimate Guide for Developing a competency framework

A competency framework is one of the most talked-about subjects today in the field of…

4 years ago

Ultimate Guide to Gagne’s nine levels of learning

Gagne’s nine levels of learning provide a grade by grade technique that can assist managers,…

4 years ago

How Good Is Your Anger Management? How You Can Improve It?

Anger is an emotion that you feel or express when you think something or someone,…

4 years ago

Know Everything about Blake Mouton Managerial Grid

Many experts use Blake Mouton to analyze their team’s performance because the Managerial Grid provides…

4 years ago