Kya Aapne Kabhi Unicorn club ko Naam Suna hai.Jab Koi Startup Ka Valuation 1 Billion Dollar ya Usse Adhik ho Jaata hai To Use Unicorn club me Shamil kar lia Jaata hai. Udaan ko hal me hi Unicorn club me List kar liya gya hai. Aaj hum Is Blog me Jaanenge ki kaise Udaan Itni Badi Company Ban gayi.
4.Udaan ka Revenue Model kya hai ?
5.Udaan ka Founder kaun-Kaun hai ?
8.Udaan ne Fund Kaise Ikattha kiya ?
Udaan ek B2B Trade Marketplace hai. Jo ki khaskar Chote Dukandaro, Holesalero, Market aur Factory ko ek Dusre se Connect karti hai. Uddan , Hyperloop Technology Use kar Rahi hai. Jo ki Khaskar Chote Dukandaro ko Aage Badhane ka Kaam kar rahi hai. Jo Ek Mobile APP se Sabhi ko ek Platform per Laane ka Kaam kar rahi hai.
Udaan ke Shuruaati Dino ke Baare me Baat Karte hai. Uddan ek Startup hai. Jise FLlipkart ke Ex-Employee ne 2016 me Shuru kiya tha. To Aaj hum Is Blog me Udaan ke Founder aur Uske Contribution ke Baare me Baat Karenge . Apne Shuruaati Dino me Udaan 8-10 Mahine tak kevel Chote Dukandaro aur Vyapario ke lia Saamaan Supply Karne ka Kaam Karti thi.
Udaan ko India ke Ander Kaphi Investment mila Jo ki ek New Startup ke lia Bahut avha Hota hai. Un dino Udaan ne Is Business me Kadam Rakhne se Pehle Apne Target Audience par Puri Research kar Unka pura Database banaya. Jiski wajah se Udaan Bahut Jald hi Traders ka Ek Marketplace Taiyar kar paya. Udaan Chote aur Middle Businessman ke lia ek Best Platform banane ki Laagatar Koshish kar raha hai.
Aaj ham bahut hi Simple Word me Udaan ke Business Model ke Baare me baat Karenge. Udaan ek B2B Marketplace hai, Jis par Wholesaler, Retailer aur Chote dukandaar Apne product ko sell kar sakte hai. Jisme Company Logistics kaphi kam Charge karti hai aur Saath me Customer Support bhi Provide Karti hai. Ek tarah se Udaan seller aur Buyer ko ek Platform par Laane ka kaam Kar rahi hai.
Udaan ke Founder ne ye Paya ki Retailers ko Saamaan Khreedne aur Uske Transpotation me Kaphi Dikkat aa rahi hai. Chote Dukandaro ko Saaman khreedne me kaphi Dikkat aa rahi thi Aur unhe Transport par kaphi kharcha karna padh raha tha . To Udaan is Problem ko Samajhte hua Chote Dukandaro ko Kaphi kam keemat Saamaan Phauchane ka Kaam kar rahi hai. Udaan Chote Dukandaro ko Support karne ke lia Unhe Loan Dene ka Kaam bhi Kar rahi hai.
Aaj hum Udaan ke Revenue Model ke Baare me Baat Karenge. Revenue Model ko Samajhne se Pehle Sabse pehle Hum Market ke Need ko Samajhte hai. Ek Report ke anusar India me Lagbhag 50 Million SME (Small and Middle Business) hain, Jiske Wajah se Har Saal Lagbhag 600 Arab ka Trade hota hai. Aur Is Field me Logistics aur Capital ke sath-sath Selling Aur Marketing ki bhi Jarurat Padhti hai. Jiski Wajah se B2B Online Portal ki Bhi Jarurat Padhti Hai.
Revenue Model Ko Jaanne ke lia Maine Udaan ke Team se Sampark Karne ki Koshish ki,Lekin Meri Unse Baat Nahi ho Payi. Islia Revenue ke baare me pura Data Juta nahi Paaye. Lekin, Kuch Report ke Anusar Udaan ek Marketplace hai Jo ki Apne Customer ko Logistics Service Deti hai.
Udaan ke Founder ne Logistics ke Problem ko Samaghte Hua. Lagbhag 8-10 Mahine tak Logistics ke Price ko kam karne ke lia Kaphi Mehnat kiya. Jisse Unhe Saaman ko Khareedne aur Bechne Ke Sath-Sath Relationship Maintain Karne me Kaphi Madad milli. Udaan har Sell Par kuch Commission Ke rup me leta hai. Jo ki har Samaan ke anusar Alag-Alag hota hai. Udaan seller se kuch Logistics Charge leta hai. Jo ki Product ke Size aur Quantity par Depend Karta hai.
Udaan ke Sabhi Founder Pehle Flipkart me Kaam Karte the. Udaan ke Founder Amod Malviya, Vaibhav Gupta aur Sujeet Kumar hai.
Vaibhav Gupta Flipkart me Senior Voice Prasident ka post par kaam karte the. Jabki Sujeet Kumar ne Flipkart me Supply Chain,built operations aur logistics executive ke Rup me kaam kar chuke hai..
Aur Amod Malviya ne Flipkart me Chief Technology Officer ke Rup me Kaam kar chuke hai.
Pichle Saal 2018 mein, Udaan ne 65 Crore ka Revenue Generate kiya. Company ke bare me Intersting Facts kuch is Prakar hai.
Categories | B2B, Business Development, Internet, |
Headquarters Regions | Asia- Pacific (APAC) |
Founded Date | 2016 |
Founders | Amod Malviya, Sujeet kumar, Vaibhav Gupta |
Funding Status | Late Stage Venture |
Last Funding Type | Series D |
Number of Employees | 1001-5000 |
Legal Name | Hiveloop Technology Private Limited |
Hub Tags | Unicorn |
IPO Status | Private |
Company type | For profit |
Website | udaan.com/ |
View on Facebook | |
View on LinkedIn | |
View on Twitter | |
Contact Email | help@udaan.com |
Udaan ki Mobile App har Mahine Lagbhag 22,657 baar Download Kiya Jaa raha hai. Jo ki har Mahine 42.98% Growth Rate ke sath Download ho Rahi hai. Udaan ka Official website UDDAN.COM hai. Jahan har Mahine 1,277,588 Customer Visit kar rahe hai. Ek Report ke Anusar Visitor ke number ke Based par Udaan ki Website Globally 36,420 No par hai.
B2B E-Commerce Platform par Invester Invest Karna Kaphi Pasand kar rahe hai. Udaan Retailers aur Manufacturers ke lia ek Marketplace ka Kaam karti hai. Jo Funding me Abhi Tak 681.3 Million Dollar Funding Ikattha kar Chuki hai.
Udaan ne 23 November , 2016 ko Series Funding mein 10 Million Dollar Jutaya. Jisko Lightspeed Venture Partners Lead kar rahi thi.
Udaan ne 30 August 2019 ko Series D ke Funding me 300 Million Dollar Ikattha kiya. Jisko Altimeter Capital aur DST Global Lead kar rahi thi.
Lead Investor | Amount Raised | Funding name | Announced Date |
Altimeter Capital, DST Global | $300M | Series D – Udaan | 30Aug, 2019 |
Trustroot Internet | ₹689.8M | Series D – Udaan | 25Jul, 2019 |
Trustroot Internet | ₹344.2M | Series D – Udaan | 5 Jul , 2019 |
Trustroot Internet | ₹5.7B | Series D – Udaan | 6 May, 2019 |
DST Global, Lightspeed Venture Partners | $225M | Series C – Udaan | 3 Sep, 2018 |
Lightspeed Venture Partners | ₹3.2B | Series B – Udaan | 21Feb, 2018 |
Lightspeed Venture Partners | $10M | Series A – Udaan | 23 Nov , 2016 |
In simple words, Over-burdening your brain with the information about the topic for which you’re…
Summary Observing closely is the action of analysing things in detail. More people have the…
A competency framework is one of the most talked-about subjects today in the field of…
Gagne’s nine levels of learning provide a grade by grade technique that can assist managers,…
Anger is an emotion that you feel or express when you think something or someone,…
Many experts use Blake Mouton to analyze their team’s performance because the Managerial Grid provides…