Tesla ka Business Model kya hai? Tesla Case Study in Hinglish
Aaj ham Automobile Industry mein kraanti laane wali company Tesla Motores ke Business model ko samjhenge. Jo duniya ki Badi Electric Vihecle ki Manufactring company hai Aur Ye company Solar Energy utpaadan par bhi kaam kar rahi hai. Abhi ke samay m Tesla 98.63 Billion ke market Capitalization tak pahunch gayi hai.
Tesla Company ke CEO Elon Musk hai, Jo Ek bahut hi Famous Businessman hain, Jinaki kul sampatti $ 30.2 Billion hai. Tesla Future mein Aane Wali Technology par kaam kar rahee hai . To Aaiye hum Tesla ke Case study ko samajhate hai,Jo ki puri duniya mein ek mahaan parivartan la rahi hai.
Aaj hum Jaanenge.
1.Tesla company kya karti hai?
2.Tesla company shuru kaise hui?
3.Tesla ka business model kya hai ?
7.Tesla Fund kaise Ikaththa karti hai?
9.Tesla ne kaun kaun si company ko khareeda hai?.
11.Tesla ka Future Plan kya hai ?
1. Tesla company kya karti hai?
Tesla company , America Ki ek Electric car Manufacturing Company hai. Yeh bahut hi Famous company hai Jiske CEO Elon Musk hai. Jo Abhi Is Company ko Sambhal Rahe hai. America ki ye company Electric car aur Solar Energy Instrument ka Manufacture karti hai .Tesla ne bahut sari Car Model ka Manufacture kiya hai . Jisme Model Y, Rodastar (2020), Model S aur Model X aadi shaamil hain.
Tesla Company Technology ke Field me ek Badi Change laa rahi hai. Company ke Founder Elon Musk Bhi Bade Change ke lia Jaane Jaate hai . Elon Musk Solar city Aur Space-X Jaise Company ke Founder hai .Tesla company ki Shuruaat 2003 mein Martin Eberhard Marc Tenpennin ne ki thi, Lekin Company ke Funding me Elon Musk Sabse pramukh Investor the.Jiske wajah se Unhe Tesla ka CEO banaya gaya.
Tesla ek Profitable Company nahi hai. Company ne Kuch Timahiyo me Kuch laabh kamaya hai Lekin Koi bhi saal Profit me nahi rahi.Company ke loss ka karan ye hai ki ye Aesi Technology par kam karti hai Jo Bazar me Aaj tak nahi Aayi Hai. Lekin Future mein Tesla ek Profitable Company ban sakti hai . Kyonki Future mein Fuel khatm hone ke kaaran Fuel nahi milega , Future mein keval Electric car Bechi Jayegi Aur tesla Moters Electric caro ko bech kar Profit bhi Kama rahi hai.
2. Tesla Company Start Kaise Hui ?
Tesla Company ko do Engineer Martin Eberhard aur Marc Tarpenning ne 2003 mein Shuru kiya. Tesla Company ka Naam Mahan Scientist Nikola Tesla ke naam par rakha gaya hai.
Tesla company ka Main Vision Electric car ko Manufacture karna hai. Jo Gasoline car ki tulana mein behtar aur Tej ho . Company ne 2008 mein apana Pehla Gaadi Launch kiya. Gaadi ke design me Elon Musk ka sabse Important Role trole play kiya .Elon Musk Series B ke Funding me bhi Investor ko Handle karte hai. Company ki Series Funding me Bade- Bade Industrialist ne Invest kiya hai.Jismen Segey Brin, Larry Page(google ke Founder), Jeff Skool(EBAY ke X-prasident) shaamil hain. 2015 mein, Tesla ne Model X ke lia Apne Manufacturing Capacity ko Badhaya Jo ki 5 star Rating ki Security Provide karta hai. Company kam Cost me High Quality Aur Nature friendly Car ko Manufacture Karne Par Lagaatar Kaam kar rahi hai.
3. Tesla ka Business Model Kya hai ?
Tesla Company Electric Vehicles Manufacturing karti hai. Ab tak Tesla ne Model S,Model X ,Model 3,, Semi Truck, aur Tesla Rodastar Jaise Caro ka Manufacture kiya hai. Electric Vehicles ka ye sabhi Model Bazar me Khareedne ke lia Available hain. Company Elctric car ka manufacter karti hai Jisme Electric motar,Battery pack aur Battery chargers ko Tesla ne Develop kiya hai. Company Mainly Electric Vehicles, Research aur Develpment , Softwere Develpment ,Sales aur Marketing ka kaam karti hai . Caro ke Manufacturing ke bad Company Direct apne Distribution Channel se Customer ko Sell karti hai. Company ke Distribution Channel me Retail store , Self services aur Online Store shamil hai .
4. Tesla kaise kamaati hai ?
Tesla Company bazar mein Electric Vehicle ke lia Jani Jati hai. Company ke Revenue model mein teen Chijo par Focus karti hai . Jo ki Electric Vehicle ki Selling, Vehicle ki Servicing aur Charging par Focus karti hai.
Tesla Direct selling bhi karti hai.Jismen comapny apne Vehicle ko Distributer ke Help se Bazar me Sell karti hai. Tesla ka ek Online Store bhi hai.Company ke pass Helpline services bhi hai .Jiska Use kar Company apne Electric vehicle ko sell karti hai. Tesla super Network charger bhi banati hai . Jiska sabse bada phayda yah hai ki Log Gaadi chalate samay bhi apne Gaadi ko Charge kar sakte hai.Jisse unhe Electric gaadi ko Apnane me madad milegi.
5. Tesla ka Digital link.
Website | https://www.tesla.com/ |
https://www.facebook.com/ | |
https://www.linkedin.com/company/tesla-motors/ | |
https://twitter.com/account/access | |
Contact Email | [email protected] |
6. Tesla a Details.
Categories | Automobile, Autonomous Vehicles, Electronics, |
Headquarters Regions | San Francisco Bay Area, Silicon Valley, West Coast |
Founders | Elon Musk, JB Straubel |
Operating Status | Active |
Funding Status | IPO |
Number of Employees | 10001+ |
Legal Name | Tesla, Inc |
IPO Status | Active |
Company Type | For-Profit |
7. Tesla Fund kaise Ikattha karti hai ?
Hum phale hi Tesla ke Business model ko Jaan Chuke hai. Tesla Automobile Industry me Naye-Naye Technology par kaam karti hai. Automobile Industry kaphi Investment wali Industry hai. Tesla Jaise Company ko Chalane ke lia kaphi adhik Investment ki Jarurat hoti hai. Tesla ne ab tak 19.9 Billion Dollar Funding Jutaya hai.
Elon Musk, Jo Tesla ke CEO hai. Tesla ko Elon Musk ne bhi Funding di hai. Series A Funding ke daur me Elon Musk lead Investor the. Inhone Tesla ke kai Funding Round me Invest kiya .Tesla ne bhi June 2010 mein Nasdaq Exchange mein apna IPO Launch kiya. Company ne 17 Dollar per Share kee keemat par Share Nikale aur IPO se 226.1 Million Dollar Juta Payi.
Stock Exchange mein Nominate hone ke pehle din, Tesla ka Share 23.89 Dollar par band huaa. Abhi Tesla ki Share 510 Dollar prati Share ki dar se Trade kar raha hai.
Investor Name | Funding Round |
Shanghai Pudong Development Bank | Post-IPO Debt-Tesla |
China Construction Bank | Post IPO Debt Tesla |
Industrial & Commercial Bank of China | Post IPO Debt Tesla |
Agricultural Bank of China | Post IPO Debt Tesla |
China Merchants Banks | Post IPO Debt Tesla |
Ten cent Holdings | Post-IPO Secondary |
Goldman Sachs | Post IPO Equity Tesla |
Bank of America | Post IPO Equity Tesla |
Deutsche Bank | Post IPO Equity Tesla |
Citigroup | Post IPO Equity Tesla |
8. Tesla ki Management team.
CEO | Elon Musk |
Senior Software Engineer | Terence Pae |
Operations Commodity Manager | AJ Vandermeyden |
Chief Accounting Officer | Vaibhav Taneja |
9. Tesla ne Kaun-Kaun si Company ko Khareeda hai ?
Tesla ne apne Business ko Successfully chalaane ke lie kuch Organisation ko khareeda hai. Tesla ne Abhi tak 6 Organisation ko khareeda hai. Unka Pehla Khareedi hui Organisation ka Nam Riviera Tool LLC tha. Jo stamping die System Banaati hai.
Tesla ne 2.6 Billion Dollar mein Solarcity ko khareed liya Jo ghar, Company aur Government ko Solar Energy ki Service deti hai . Tesla dwara khareedi gayi Company ka LIst.
Acquirer Name | Price |
Deep Scale | Not Disclosed |
Maxwell Technologies | $218M |
Perbix | Not Disclosed |
Grohmann Engineering | Not Disclosed |
SolarCity | $2.6 B |
Riviera Tool LLC | Not Disclosed |
10. Tesla ka SWOT Analysis.
SWOT Analysis ek Aesa Technique hai Jiske Help se hum Koi bhi Business ka Strength,Weakness,Opportunity Aur Threats ko Pehchan Sakte hai.
Taakat(Strength)
- Tesla Ki sabse Badi Taakat yah hai ki Ye market me Sabse nayi Technology laane ke lia Jani Jati hai.
- Tesla ki Research aur Development Team kaphi Strong hai Jiske Wajah se Tesla Nayi Technology ki Khoj kar pati hai .Bahut sari Company Tesla ke Banaye Hua Technology ko Use kar rahi hai.
- Company ko Government ka kaphi support hai .Company ne American Energy Department se bhi 465 Billion Dollar Prapt kiye hai.
- Tesla ek Strong Brand hai Jisko CEO Elon Musk hai.Jo ki Famous Industrialist hai .
Weakness
- Tesla ka Manufacturing Capacity kaphi kam hai.
- Nature friendly Technology bana rahi hai Lekin, Iske baare me logon me Awareness kaphi kam hai.
- Iske Banaaye hue Utpaad kee keemat bahut adhik hain.
Avsar
- Yeh bazaar mein apni Bikree ko badha sakti hain .
- Ye World level per apne Product ko Sell kar rahi hain.
- Tesla ka Aesian Countries me bhi Bahut Saare Distribution Channel hai.
- Ye New Technology ko Promote kar rahi hai.
Threats(Khatra)
- Tesla Market me Kaphi Competition ka Face kar rahi hai.
- Automobile Industry me Sell Kaphi Ghate-Badhti Rehti hai .
- Tesla Self Driving car par kam kar rahi hai Jisme kaphi Risk hai .
- Tesla Jis Technology par kam kar rahi hai. Use Customer Kaphi kam Apna rahe hai. Maximum Country me Log Digel or Petrol ka Use kar Rahe hai . Unke lia Electrical Vehicle Jaise Technology ko Apnana Thoda Muskil hai .
11. Tesla ka Future ka Kya Plan hai ?
Tesla sabhi Country me Kaphi Tegi se Apne Business ko Expand kar rahi hai.
Tesla ka Future Plan.
- Company Roadster 2020 me Launch karne ki Yojna Bana rahi hai. Jo ek Electric car hai. Elon musk ne ye Ghoshna kiya hai ki ye Car 1.9 second mein 60 Meel prati Ghante tak Ja sakengee aur 250 Meel prati Ghante ki High Speed se chalne ki Capacity rakhti hai.
- Company Model-Y ko bhi Launch karne ki Yojna bana rahi hai . Jo 340 Meel Prati Ghante ke Hisabh se Chalne ki Capacity Rakhti hai. Jiski March 2020 tak Bazar me Aane Chance hai. Isaki Manufacturing Cost Lagbhag $ 39000 se $ 60000 hai |
12. Tesla ka Competitor.
Aur Sabhi Company ki tarah Tesla ke bhi Bahut saare Competitor hai. Tesla ka Competitor General Motors, Ford Credit aur Hyundai Motor hai. Tesla ka Revenue Lagbhag 25.1 Billion Dollar Yearly hai. General Motors Tesla ke Main Competitor me se ek hai, Jo ki Car ko Manufacture aur Market karti hai. General Motors Yearly 144.1 Billion dollar ka Manufacture karti hai.
Ford Credit Jo car ka Manufacturer aur Distributor hai,Jo ki Tesla ke sath Compete kar rahi hai. Ford Credit Yearly Lagbhag 158 Billion dollar ka Revenue Generate karti hai. Japan ki Company Hyundai Motor, Jo vishesh rup se Car aur Motorcycle ka Manufacture karti hai, vo bhi Tesla ke sath compete kar rahi hai.