Virgin Group ka Business model kya hai? Virgin Group Case Study in Hinglish
Aaj hum Janenge Kaise Virgin Group kese 200 se bhi adhik Branded companiyo ko chala rahi hai. Virgin Group Jo World level ki Company hai or ek International Brand hai.
Virgin Group Ke Founder Richord Branson hai Jinki Sampatti Lagbhag 410 Crore USDr ke baraabar hai. Abhi ke samay ye Duniya bhar me Lagbhag 35 se Adhik Desho me kaam kar rahi hai. To chalie Aaj hum International brand Virgin Group ke Case Study ko Samajhte hai. To Aaj hum Jaanenge ki Virgin Group kaise shuru hui aur ye saal bhar mein Kitna Profit Kamati hai
Aaj hum Jaanenge.
2.Virgin Group kaise shuru hui ?
3.Virgin Group kya Karti hai ?
4.Virgin Group ka SWOT Analysis.
5.Virgin Group ka Digital Link.
6.Virgin Group ke baare mein Facts.
7.Virgin Group Ki Management Team.
9.Virgin Group ne kaun kaun si Company ko Khareeda?
10.Virgin Group ne kahaan kahaan Invest kiya hai ?
11.Virgin Group ka Competitor kaun -kaun hai ?
1. Virgin Group kya hai ?
Virgin Group ki Shuruaat 1970 mai ki Gayi thi. Yah ek British Company hai. Ye company Investment ke lia Jaani Jaati hai. Virgin Group Duniya ki ek Badi Investment company hai. Aur yeh World ki ek Famous Brand hai. Virgin Group ne kai Field me Invest kiya hai. Jaise Travel,Tourism aur Mobile Industry me Invest kiya hai. Company ke paas 35 se Adhik Desho me 69000 se Adhik Employee hai.
Virgin Group ke Founder Richard branson hai. Is Company ko Handle Richard branson ka Family aur Company ki Management Team Karti hai. Har saal Company Lagbhag £ 16.6 Billion se adhik Revenue Generate karti hai. Is Company ki Duniyabhar me Lagbhag 53 Million Customer hai.
2. Virgin Group kaise shuru hui?
Virgin Group Apne Shuruaati Dino me Mail Record ko Ikattha kar Magazine Company ko Bechti thi. Virgin Group Ki Shuruaat Richord Branson Aur Nik Powell ne ki hai. Dono khud ko Virgin maanate hai, Islie Unhone Apni Company ka Naam Virgin Record Rakha. Virgin Record ne Apna Pehala Record Tubular Bells Record kiya tha . Jo ki UK ki Chart par 247 Week tak sabse Upper rahi thi. Virgin Record badi hui aur duniya ke top 6 Record Compniyo me se Ek ban Gayi 1984 mein, Unhone apane Business ko Expand karne ke lia Travel Company ko khareeda. Aur Virgin Travel ki Shuruat ki.
1985 mein, unhone Virgin Holiday ki Shuruaat ki .1992 mein, Richard Branson ki Company ko Loss ka Saamna karna Pada. Lekin Richard Branson ne us Samay apni Company ko sambhala Aur Inhone 1993 Virgin Radio Start kiya. 1997 mein Inhone Virgin Trains bhi Shuru kiya ,Jo ki saal bhar me hi Sabse Controversial Company ban gayi. 1998 mein, Virgin Group ne apna Mobile Launch kiya. 2004 mein, Inhone Vergin Galactic Launch kiya Jo Space ke lia Kaam karti hai.
3. Virgin Group kya Karti hai ?
Virgin Group ek Investment wali Company hai, Virgin Group ki Bahut sari Company hai. Jaise Virgin Active, Virgin Atlantic, Virgin Books, Virgin Care, Virgin Mobile, Virgin Connect, Virgin Holiday, Virgin Radio Aur Virgin Racing Jaise Bahut Saari Company hai. In Sabhi Company ka Apna Alag-Alag Business Model hai. Jaise ki Virgin Books ek Book Publish karne Wali Company hai, Jo ki Book Publish karti hai.
Is tarah Virgin Group kai Business hai Aur bahut sari Company me Virgin Group ka Ownership bhi hai.
Company | Ownership | Sector |
Virgin Active | 20% | Health, Gym Chain |
Virgin Atlantic | 51% | Travel, Airline |
Virgin Australia Holdings | 8% | Travel, Airline |
Virgin Books | 10% | Publishing |
Virgin Care | 100% | Health |
Virgin Connect | 15% | Travel, Airline |
Virgin Experience Days | 80% | Hospitality |
Virgin Galactic | 33% | Travel, Aerospace |
Virgin Holidays | 51% | Travel, Tour Operator |
Virgin Hotels | 100% | Travel, Hotel Chain |
Virgin Hyper loop One | Travel, High-speed rail | |
Virgin Limited Edition | 100% | Travel, Hotel Chain |
Limobike | 100% | Travel, Motorbike Taxi |
Virgin Media | 0% with 100% owned | Communications |
Virgin Mega stores | 100% | Retail |
Virgin Mobile | 100% | Communications |
Virgin Money UK | 13% | Banking |
Virgin Oceanic | Travel, Undersea | |
Virgin Orbit | 33% | Aerospace |
Virgin Pulse | 100% | Business Services |
Virgin Racing | 100% | Motorsport |
Virgin Radio | 100% | Entertainment, Radio |
Virgin Rail Group | 51% | Travel, Trains |
Virgin Sports | 1% | Sports |
Virgin Trains USA | Travel, Trains | |
Virgin Unite | 100% | Charity |
Virgin Startup | 100% | Charity |
Virgin Vacations | 100% | Travel, Tour Operator |
Virgin Voucher | 100% | Retail |
Virgin Voyages | 49% | Travel, Cruise line |
4. Virgin Group ka SWOT Analysis.
SWOT Analysis ek Technique hai Jiski help se hum Kisi bhi Business ke Taakat Kamjori,Avsar aur Khatre ko Pehchan Sakte hai. To Virgin Group ka SWOT Analysis Kuch Is Prakar hai.
Taakat(Strength)
- Richord Brandson Apne Leadership Skill ko Use kar Company ko ek Alag hi level tak le ke Jaa Rahe hai.
- Richord Branson Apne Marketing Skill ko Use kar Business ko Lagatar Bada kar rahe hai
Kamjori(Weakness)
- Company apne koi bhi Product par Adhik Focus kar leti hai..
- Company Virgin Atlantic mein ghaate ka Saamna kar rahi hai.
Avsar(Opportunity)
- Company profit ke Alag-Alag Field ka pata lagate rehti hai ,Aur waha Paise Invest karti hai.
- Company India aur China Jaise company me Invest karna pasand kar rahi hai.
Khatra (Threats)
- Richard Branson ke Bad Company ho Handle Kaun karega.
- Company ko Risk wale Business ke karan Loss ka Samna Karna Padh sakta hai.
5. Virgin Group ka Digital Link.
Website | www.virgin.com/virgingroup |
View on Facebook | |
View on LinkedIn | |
View on Twitter | |
[email protected] |
6. Virgin group ke Baare me Facts.
Categories | Financial Services, FinTech, Venture Capital |
Headquarters Regions | European Union |
Founded Date | 1970 |
Founders | Richard Branson |
Operating Status | Active |
No. of Employees | 10001+ |
IPO Status | Private |
Company Type | For Profit |
7. Virgin Group ki Management Team.
Virgin Group ko Richard Branson ne shuru kiya tha, Jo ek Famous Industrialist hai. Richord Branson ka Janm 18 July, 1950 ko Surrey, England mein hua tha.
Inhone Apne Shiuruaati Jeevan me Kaphi Struggle kiya ,16 Saal ki Age me Inhone Apna School Chor Diya.Aur Richord Branson ne Virgin Records shuru Karne ka Phaesla kiya Jiske wajah we Aaj Is mukam par hai.
Virgin Group ki Team Kuch Is Prakar hai , Jo ki Virgin Group ko Handle karti hai.
Founder | Richard Branson |
CFO | Amystirling |
CEO | Josh Bayliss |
Chief Brand Office | Lisa Thomas |
8. Exist ki sankhya.
Virgin Group ke Kul 8 Exists Maujood hai.
List of Exists
Company | Category |
Square | Finance, Fintech |
Virgin Pulse | Consumer, Health Care |
Free now | Apps, Mobile |
Ring | Consumer Electronics |
Virgin Australia | Travel, Air Transportation |
Ring | Home security |
ZOZI | E- Commerce, SaaS |
Side Car Technology | Apps, B2B |
Pikum | Sports, Web Development |
9. Virgin Group ne Kaun-Kaun si Company ko Khareeda?
Pikum | March 1,2008 |
Circle Lending | May 17, 2007 |
10. Virgin Group ne Kahan Kahan Invest Kiya hai?
Virgin Group ne Abhi Tak 43 Companiyo mae Invest Kiye hai. Jiski list Is Prakar hai.
Organization Name | Date | Money Raised |
Sofar Sounds | May 22, 2019 | $25 M |
Loan Snap | Jan 29, 2019 | $4.7 M |
Loan Snap | July 20, 2018 | $8 M |
wi Group | Jan 30, 2018 | – |
Bitpay | Jan 2, 2018 | – |
Virgin Hyperloop One | Dec 18, 2017 | $50 M |
Transfer Wise | No 2, 2017 | $280 M |
Classcraft | Sep 5,2017 | $2.8 M |
Memphis Meats | Aug 23, 2017 | $17 M |
Blockchain | June 22, 2017 | $40 M |
11. Virgin Group ka Competitor kaun-Kaun hai ?
Virgin Group ke Teen Bade-Bade Competitor hai. Jabki Virgin Group bahut Saari Field me Kaam Karti hai. Iska Pehla Competitor BT Hai Jo Consumer ko Communication Service Provide Karti hai. Jiska Network Puri Duniya me Phela Hua hai.
Iska Dusra Main Competitor Airtel Company hai, Jo ki Voice calling, Messaging aur Data service Provide karti hai.
Iska Teesra Competitor American Airlines hai,Jo Travel Service Provide karta hai
Virgin Group Duniya ki ek Badi Investment company hai. Virgin Group ne kai Field me Invest kiya hua hai Jaise ki Travel,Tourism aur Mobile Industry. Alag alag companies mein investment karkey yeh paisa kamati hai.
Virgin Group Ki Shuruaat Richard Branson Aur Nik Powell ne ki thi. Yeh Shuruaati Dino me Mail Record ko Ikattha kar Magazine Company ko Bechti thi.
Virgin Group K andar kareeb 43 badi companies aati Hai
Virgin Group ek Private Company Hai jo ki london,England mein registered hai.
Virgin Group Ka Mission:-
ham sakriye roop se naye Investment ki opportunities kee talaash karate hain aur same Vision waale enterpreuners ke saath milker kaam karate hain.
Virgin Group Ka Vision:-
Hamaarey Investment team Travel aur Tourism, Communication aur media, Music aur Entertainment, Health Etc. sectors ko acha or customer friendly bananye k liye focus karti hai.